wafa ky shish mahal mein saja liya main ne
wo ek dil jise patthar bana liya main ne
ye soch kar k na ho tak mein khushi koi
gamon ki ot mein khud ko chupa liya main ne.
——
Dard hi sahi mere ishq ka inaam to aaya
khali hi sahi haathon me jaam to aaya
main hoon bewafa sabko bataya usne
yun hi sahi uske labon pe mera naam to aaya..
——
Na jane us par itna yakin kyon hai,
Uska khayaal bhi itna haseen kyon hai,
Suna hai pyar ka dard mitha hota hai,
To ankhon se nikla aansu itna namkeen kyo hota hai?
——
Kitni masoom si ada hoti he.
Palat kar dekho to hawa hoti he.
Nadan he jo chahte he kisi ko zindagi ki trah.
wo nahi jante ke zindagi bhi to bewafa hoti he.
——
Barbad Kar Gaya Wo Zindgi Pyar K Naam se
Bewafai Mili Sirf Wafa K Naam se
Zakhm Hi Zakhm Diye Usne Dawa K Naam se
Khud B Ro Para Wo Meri Mohabat K Anjam Se.
——
Guzry dinon ki bhuli hui bat ki tarha
ankhon main jagta hai koi rat ki tarha
os se umeed thi k nabhaye ga sath
magar wo b badal gya mery halaat ki tarha.
——
hum uski yaad mai barso rote rahe
Bewafa wo nikle badnam hum hote rahe..
pyar me madhoshi ka aalam to dekhiye,
dhul chehre pe thi aur hum aaina dhote rahe
——
Jane kya sochkar dunia banai Khudane
Sath wafa ke banai Q Bewafai Khudane
har Insan ko Mila uske dil ka Pyar
Fir Mujhko Q di Tanhai khuda ne